Apni Yaadain Tu Mere Dil Main Basi Rehne De
mukeshtiwari88's picture

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaaye Wo Chehraa Na Banaa;
Mujh Ko Lamha-e-Fursat Ka Khilonaa Naa Bana;

Saikroon Raaste Hain Ajnabi Ho Jaane Ke;
Tark Karna Hai Ta-aaluq Kaa Bahaana Bana;

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Bujhaa Deta Hai;
Mujhe Insaan Samajh Ke Khud Ko Farishta Na Bana;

Apni Yaadain Tu Mere Dil Main Basi Rehne De;
Is Mahektey Huwe Gulzaar Ko Sehraa Na Bana;

Main Tu Pehle Hi Zakhm Liya Phirta Hoon;
Mujhe Ab Shehar Dard-e-Tamaasha Na Bana;

Thak Gayi Hain Mere Ehsaas Ki Aankhain;
Naqsh-e-Deewar Pe Ab Koi Afsanaa Na Bana!!!!

No votes yet
Category: Relationships